WUZU ME (4) FARZ HE:
3..Aek baar chotha'ee sar ka mas-ha karna.
1..Peshaani ke balo se thodi ke niche tak aur aek kaan ki lo se dusre kaan ki lo tak aek baar pura chehra dhona.
2..kohoniyon ke sath aek baar dono haath dhona.
4..Aek baar dono pairo ko takhno ke sath dhona.
WUZU ME (13) SUNNATE HE.
1...Niyat karna.2...Shuru me bismillah padhna.
3...Pahele teen baar dono haatho ko ghatto tak dhona.
4...Miswak karna.
5...Teen baar kulli karna.
6...Teen baar naak me pani daalna.
7...Chahra dhote wakt dhadi Ka Khilaal Karna.
8...Haatho aur pairo ko dhote wakt ungliyo ka khilaal karna.
9...Har uzv ko teen baar dhona.
10..Aek baar tamam sar ka mas-ha karna.(ya'ani bhiga huva hath ferna)
11..Sar ke Mas-ha ke saath dono kaano ka mas-ha karna.
12..Tarteeb se wuzu karna,
ke pahle mu-h dhoye fir kohniyo samit hath dhoye fir sar ka mas-ha kare fir pa'ou dhoye.
13..Pedar pe wuzu kare,
yani lagatar is tarah har uzv dhona ke pahela uzv sukha na hone paye aur dusra dhole.
NAWAKIZE WUZU (8) HE:
1...Majnoon ya'ani pagal hojana.2...Behosh ho jana.
3...Muh bhar ke keh karna.
4...Namaaz me kehkaha maar kar hasna.
5...Badan ke kisi mukaam se khun ya peep ka nikal kar beh jana.
6...Teka ya sahara laga kar so jaana.
7...Reeh yani hava ka pichhe se kharij hona.
8...Pakhana ya peshab karna ya in dono raasto se kisi or chiz ka nikalna.
MAQRUHAAT WUZU (4) HE:
1...Naapaak jage par wuzu karna.2...Sidhe haath ki ungli se naak saaf karna.
3...Wuzu ke darmiyaan dunya ki baate karna.
4...Sunnat ke khilaf wuzu karna.
Mustahbat Wazu (5) HE:
1. Qibla ki taraf mu-h kar ke baithna.2. Gardan ka mas-ha karna.
3. Da'ee taraf se shurua karna.
4. Bacha hua pani khade ho kar pina.
5. Wuzu ke kaam ko khud karna dusre se madad na lena.