-----------------------namaz k 14 vaajibat he.
--------------------------------
1.farz namaz ki pehli 2 rakat me or sunnat ,nafil or vitr ki har rakat me surah fatiha padhna.
2.farz ki pehli 2 rakato ko kira'at k liye khas padhna.
3.farz ki pehli 2 rakato me or dusri namazo ki har rakat me surah fatiha k saath surah ya badi ek aayat ya 3 choti aayat ka padhna
4.namaz k har arkaan ku tartib se adaa karna.
5.rukua kar k sidhe khada hona.
6. 2 sajdo k bich me bethna.
7.pehla qaidah karna ( 3 or 4 wali rakat wali namaz me 2 rakat k baad bethna.)
8.dono qaidah me attahiyyat ka padhna.
9.namaz k har rukan ko barabar itmenan se adaa karna.
10.zohar ,asar me kira'at aahishta padhna.
11.imaam ko magrib or isha ki pehli 2 rakat me or fajar ,jum'ah ,taravih, or dono eid or ramadan me vitr ki namaz me kira'at
buland aawaz se padhna.
12.namaze vitr me teesri rakat k me kira'at k baad haath utha k allahu akbar keh k dua-e-kunut ka padhna.
13.dono eid ki namaz me 6 ziyadah takbire kehna.
14.assalamu alaykum keh ka salam pherna.
-----------------------------------
masla :- agar in 14 vaajibat me agar ek bhi vajibat bhul se chut jave to sajda sahav karna vaajib ho jata he.
or sajad sahav karne ka tarika ye he k attahiyat padh k sirf dai janib salam kare or fir se 2 sajde kare
or fir attahiyyat ,durud shairf or dua-e-mashurah padh k namaz puri kare.
lakin agar in me se agar jan-buz kar agar kisi ne koi vajibat chod diya to uski namaz fasid ho gai.usko fir se namaz padhni padehgi.
----------------
bahot saare logo ko dekha ja raha he k rukua se sidha khade hi nhi hote or sajde me chale jate he.
or 2 sajde k darmiyan bhi jitna bethna chahiye itna nahi bethte.
allah k nabi sallallahu alayhi wasallam ne farmaya k badtarin chor wo he jiska rukua or sajda sahi se na ho.
zara socho k rukua or sajda sahi se na hoto badtarin chor kaha gaya he.
ALLAH HAM SAB KU SAHI NAMAZ PADHNE KI OR SUNNAT K MUTABIK PADHNE KI TAUFEEQ ATAA FARMAAVE .AAMIN.
masaile namaz
Suwal...faraize namaz kitne hen??
Jawab...faraize namaz jin ke bager namaz nahi hoti 14 hen
1..badan ka paak hona
2..kapdon ka paak hona
3..namaz ki jagah ka paak hona
4..satar ka chupana
5...namaz ka waqt hona
6..namaz ki niyyat (dil me iradah) karna
7..qibli ki taraf munh karna
8..takbire tahrima kehna
9..qiyam karna yani khada hona
10..qirat karna kam az kam 1 badi aayat ya choti 3 aayat
11..ruku karna
12..har rakat me do sajde karna
13..aakhri tashahhud me bethna
14..apne amal se namaz se nikalna
(nizame tarbiyat.ba hawala nurul izah)
🌲masaile namaz🌲
Suwal..namaz ke wajibat kitne hen?
Jawab..wajibate namaz yani wo chizne jo bhul se chutne se sajdae sahw zaruri hota he our jan bujhkra chorne se namaz duhrani zaruri hoti he 14 hen..
1..farz ki do rakat me our wajib/sunnat/nafl ki har rakat me surae fatiha padhna..
2..farz ki do rakat our wajib/sunnat/nafl ki har rakat me 1 surat ya 3 aayeten padhna..
3..farz ki pehli do me surat milana
4..fatiha ko surat se pehle padhna
5..tadile arkan yani har rukn ko achchi tarah ada karna ke har uzw apni jagah rukjaye
6..pehla qada karna
7..tashahhud padhna
8..Tashahhud padhkar tisri rakat ke liye phoran khada hona
9..namaz se nikalne ke liye assalam kehna
10;..witr me duae qunut padhna
11..dono eid me zaaid takbir kehna
12..eid ki namaz ki dusri rakat ke ruku ki takbir kehna
13..imam ko zuhar/asar me aahista qirat karna
14..us ke alawa baqi namazon me zor se qirat karna
(Nizame tarbiyat ba hawala nurul izah)
🌲masaile namaz🌲
Suwal...namaz ki sunnaten kitni hen??
Jawab..namaz ki 51 sunnaten hen us me se qiyam (khade hone ) me 11 sunnaten hen....
1.takbire tahrima ke waqt sidha khada hona ...sar ko na jhukana
2....dono per ke darmayan 4 ungal ka fasala rakhna...
3..muqtadi ki takbire tahrima ka imam ki takbir ke sath hona
4..takbir tahrima ke waqt dono hath kano tak uthana
5..hatheli qible ki taraf rakhna
6..ungliyon ko apni halat per rakhna na zyadah khuli na zyadah band
7..daen hath ki hatheli baen hath ki hatheli ki pusht (uper ke hisse ) per rakhna
8..anguthe se halqa banakar gatton ko pakarna
9..darmyani 3 ungli kalai per rakhna
10..naaaf ke niche hath baandhna
11..sana padhna
(nizam e tarbiyat)
🌲masaile namaz 🌲
Suwal.. Namaz me qiraat ki kitni sunnaten hen??
Jawab..qirat me 7 sunnaten hen...
1..ta'avvuz padhna yani auzu billah padhna
2..tasmiya yani bismillah padhna
3..aahista aameen kehna
4..fajar/zuhar me tivale mufassal me se padhna yani sura'e hujurat (para no..26)se surae burooj tak....our asr/isha me awsate mufassal yani surae burooj se surae lam yakun tak....our magrib me qisare mufassal yani surae lam yakun se surae naas tak padhna...
5..fajar ki pehli raka't ko lambi karna
6..na zyadah jaldi padhna na zyadah theher kar balke darmyani raftar se padhna
7..Farz ki tisri/chauthi me surae fatiha padhna
(nizame tarbiyat)
🌲masaile namaz 🌲
Suwal..ruku ki sunnaten kitni hen??
Jawab ..ruku me 8 sunnaten hen...
1,,ruku ki takbir kehna...
2..ruku me dono hathon se ghutno ko pakarna...
3,,ghutne pakarne ungliyan kushadah khuli rakhna..
4,,pindliyon ko sidha rakhna..
5,,,pith ko bicha dena..
6...sar our surin ko barabar rakhna
7..ruku me kam az kam 3 martaba subhana rabbiyal azeem kehna
8...ruku se uthne me imam ko samiallahu liman hamidah kehna muqtadi ko rabbana walakal hamd kehna our munfarid (jo akele namaz padhta ho) ko dono kehna.....
(nizame tarbiyat)
Namaz ka T'areeqa-
============
Namaz padhne ka tareeqa ye hai ke Ba wuzu
qibla ki taraf munh kar ke is tarah khada ho ke
donon panjon mein 4 angul ka fasla rahe aur
dono hath kan tak le jayein ke anguthe kan ki
lau se chhu jayein. Baqi anguliyan apne haal
per rahein na bilkul mili na bahot faili aur
hatheliyan qibla ki taraf hon aur nigaah sajdah
ki jagah per hon aur jis waqt ki jo namaz
padhta ho dil mein uska pakka iradah kar ke
ALLAHU AKBAR kahta hua hath niche lakar
naaf ke niche bandh lein.
is tarah ke dahini hatheli ki guddi bayein kalayi
ke sire per ho aur beech ki teenon anguliyan
bayein kalai ki peeth per aur angutha aur choti
anguli ke agal bagal ho.
Aur sana padhe phir tao'z padhe yani auzu
billah pura padhe fir tasmiyah padhe yani
bismillah pura padhe phir alh'amd puri parhe
aur khatam per aahista se aameen kahe. Iske
bad koi surat ya 3 aayatein ya aisi ek 1 aayat
padhe jo 3 aayaton ke barabar ho ab ALLAHU
AKBAR kahta hua ruku' mein jaye aur ghutnon
ko hath se pakde is tarah per ke hatheliya'n
guthnon per ho aur anguliyan khoob faili hon.
Aur peeth beechi hon aur sir peeth ke barabar
ho uncha nicha na ho.aur nazar pair ki taraf
ho aur kam se kam 3 bar'subh'aana rabeeyal
a'zeem kahe phir phir SAMI'ALLAHU LIMAN
H'AMEEDAH kahta hua sidha khada ho jaye
aur jo munfarid yani akela ho to uske bad
Allahumma rabbana wa lakal h'amd kahe.
Phir ALLAHU AKBAR kahta hua
....sajdah mein jaye.
is tarah ke pehle ghutna zameen per rakhkhe
phir hath phir dono hathon ke beech mein sir
rakhkhe is taur per ke pehle nak tab matha aur
nak ki haddi zameen per jam jaye aur nazar
nak ki taraf rahe aur bazuon ko karwaton se
aur pet ko rano'n se aur rano'n ko pandaliyon
se juda rakhkhe.
aur dono paon ki sab anguliyon ko qibla ki
taraf rakhkhe is tarah ke anguliyon ka sara pet
zameen per jama rahe.
aur hatheliyan bichi hon aur anguliyan qibla ki
taraf hon.
aur kam se kam 3 bar Subh'ana rabeeyal Aa'la
kahe phir ALLAHU AKBAR kahta hua sir
uthaye is tarah ke pehle matha phir nak phir
munh phir hath.
aur dahina qadam khada kar ke uski anguliyan
qibla rukh kare baya'n qadam beecha kar
usper khoob sidha baith jaye aur hatheliyan
beecha kar rano'n per ghuthano ke pas
rakhkhe ke dono hath ki anguliyan qibla ko hon
aur anguliyon ka sira guthana ke pas ho phir
zara thehar kar ALLAHU AKBAR kahta hua
dusra sajdah kare.
ye sajdah bhi pehle ki tarah kare.
Dua'-
Aye mere pyare ALLAH ismein jo galtiyan ho
gayi ho to tu use apne fazal se ma'af farma.
Aur hum sabhi ko nek niyaton ke sath namaz
ada karne ki taufeeque de.
Aameen.
S'allallahu A'laihi Wasallam.
Note-
isme talaffuz ki galtiyon ko maf kare