Test
6 SIFAAT

ALLAH ke raste me nikal kar 6 sifati bato par amli mashq kareyi jaati he jis par amal karne se deen par chalna asaan ho jatahe..
Yeh 6 Sifat yeh hain :

1. IMAAN
IMAAN Ke bol he " La ilaha illal lahu
muhammadur Rasulullah"
2. NAMAZ
3. ILM or ZIQR
4. IKRAM-e-MUSLIM
5. IKHLASE NIYAT
6. DAWAT o TABLIGH
PARHEZ K TAUR PAR LAYANI BAATON SE
BACHNA.

Paheli sifat he IMAAN :
Imaan ka bol hai KALIMA"Laa ilaha illal lahu muhammadur rasulul LLAH
Tarzuma -Nahin hai koi mabood siwaye ALLAH k aur Hazrat Muhammad Sallal Laahu Alaihi wasallam ALLAH k Rasul hain" Isse yeh chaha ja raha he ki

ALLAH ki zaat se bara-e-rast  nafa utha ne ke liye ALLAH ke hukmo ko nabi-e-karim (S.A.W.) ke tariko par pura karne me dono jaha ki kamyabi he iska yakin karna.

Imaan ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat hai :dawat,mashq,duaa

1. Daawat - ALLAH ki zaat se bara-e-rast nafa utha ne ke liye ALLAH ke hukmo ko nabi-e-karim (S.A.W.) ke tariko par pura karne me dono jaha ki kamyabi he iski ummat me chal fir kar khub dawat dena.

2. Mashq - Jab bhi imaan ke halko me imaan ki baat ko kahe ya sune to apni zuban or dil se ye kahe ki ye baat sach he or haq he.

3. Dua - Imaan ki haqiqat ko ALLAH se ro
rokar duaon k zariye se mangana....ki ae
ALLAH hame Imaan ki haqiqat ata farma.

Dusri sifat he NAMAZ :
NAMAZ se ye Chaha ja raha he ki ALLAH ki kudrat se bara-e-raast nafa utha ne ke liye namaz hamari yakini sabab ban ja ae.

NAMAZ ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat hai :dawat,mashq,duaa

1. Daawat - Apni namaz yakini bane ne ki niyat se qamil Namaz ki ummat me
chalfir kar khub Dawat dena.

2. Mashq - Namaz me aek zahir he aur aek batin.
Zahir me ye he ki
१. Apni kamaee ko halal banana
२. Halaal giza khana
३. Halaal libaz pahenna
४. Kamil wuzu karna
५. Namaz ke tamam maselon ko sikhkar ada karna.
६. Apne jism ke har uzv ko ALLAH ki raza vale kamo me laga na or ALLAH ki narazgi vale kamo se bacha na.

batin me do darje he
Sab se Aalla darja ye he ki namaz ki hal me hamari ye kefiyat ban jae ki me ALLAH ko dekh raha hu.Or dusra darja ye he ki Namaz ki hal me hamari ye kefiyat ban jae ki ALLAH muje dekh rahe he.
In do darjo tak pahuchne ke liye jab bhi namaz ke kisi arkaan me vasvasa aave to apne dil me ye khayal peda kare ki mera ALLAH muje dekh raha he. Is ke sath sath Apne ruku, sujud or kirat  ko achhi tarah ada kare.

3. Dua - NAMAZ ki haqiqat ko ALLAH se ro
rokar duaon k zariye se mangana....ki ae
ALLAH tu hame bhi maqbool namaz ki taufiq ata farma.

Tisri sifat he ILM aur ZIQR :
ILM se yeh cahaha jaa raha hai ki Huzur (s.a.w) ALLAH ke yaha se jo ILM leke aa ae he us ILM me dono jaha ki kaamyabi he iska yakin karna.

ILM ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat hai :dawat,mashq,duaa

1. Daawat - Huzur (s.a.w) ALLAH ke yaha se jo ILM leke aa ae he us ILM me dono jaha ki kaamyabi he iske yakin ki ummat me chal fir kar khub dawat de take uska yakin hamare dil me peda

2. Mashq - ILM DO tarah ka hota hai ;
MASAEL wala ILM, FAZAIL wala ilm

FAZAIL wale ILM ke halko me beth kar Fazail ka yakin peda kare.
MASAEL vale ilm ko motabar ulma se sikhe.

3. Dua - ALLAH se ro rokar duaon k zariye se mangana....ki ai ALLAH tu hame ILM NAAFE ata farma.

ZIQR :
Ziqr se yeh chaha ja raha hai ki ALLAH ke awamir ko huzur (s.a.w.) ke tariko par pura karne me allah ka thyan peda ho ja e

ZIQR ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat hai :dawat,mashq,duaa

1. Daawat - ALLAH ke awamir ko huzur (s.a.w.) ke tariko par pura karne me allah ka thyan peda ho ja e uski Ummat me chal fir kar khub dawat de ve.

2. Mashq - Teen tasbihaat ko baa vuzu kibla rukh hokar mane mafoom ko samaj te hu thyan laga kar padhi ja ae.
Or Masnoon Dua o ko mane mafoom ko samj te hue or ALLAH ke vado ke yakin ke sath padhi ja ae.

3. Dua - Ziqr ki haqiqat ko ALLAH se ro rokar dua o k zariye se khub mange....ki ae ALLAH tu hame apne ziqr ki taufiq ata farma.

Chothi sifat he IQRAME MUSLIM :
IQRAME MUSLIM yeh chaha ja raha hai ki
ALLAH ke bando se mutaleek ALLAH ke awameer ho huzur (s.a.w.) ke tariko par musalmano ki noyyat ka lihaz karna.
Or Gair-musalmano se ache akhlaq se pesh aana.

IQRAME MUSLIM ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat hai :dawat,mashq,duaa

1. Daawat - Sahaba e kiraam razi allahu ta aala anhu ke Akhlaq ki Ummat me chalfirkar khub daawat dena

2. Mashq - ALLAH ke raste me nikal kar apne andar akhalaq lane ki mashq kare.

3.DUAA. IQRAME MUSLIM ki haqiqat ko ALLAH se ro ro kar dua o k zariye se khub mange..

PACHVI SIFAY HE IKHALS e NIYAT :
IKHALS e NIYAT  yeh chaha ja raha hai ki ALLAH ke awamir ko huzur (s.a.w.) ke tariko par pura karne me khalis ALLAH ko razi karne ka jazba peda ho ja e.

IKHALS e NIYAT  ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat hai :dawat,mashq,duaa

1. Daawat - ALLAH ke awamir ko huzur (s.a.w.) ke tariko par pura karne me khalis ALLAH ko razi karne ka jazba peda ho ja e us baat ki Ummat me chalfir kar khub Dawat de ve.

2. Mashq - Har nek amal se pahele niyat ko durust kar leve(ALLAH ke liye karne ki niyat kare).amal ke darmiyan niyat to tatol leve or aakhir me astak far nadamat ke sath kare.
3. Dua - ALLAH se ro rokar duaon k zariye se ikhlas ko mange....ki ae ALLAH tu
hame har nek amal khalis teri raza k liye
ikhlas k saath karne ki taufiq ata farma.

Chhatti sifat he DAWAT o TABLIGH :
DAWAT o TABLIGH yeh chaha ja raha hai ki dawat ke is kaam ko ham apna kaam sajte hu ae ALLAH ke raste me apna jaan or maal laga ae

DAWAT o TABLIGH ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat hai :dawat,mashq,duaa

1. Daawat - Quraan me dawat ke mutalik jo aayate aayi he un aayato ki Ummat me chalfirkar Dawat dena.HADIS mevjo jawat ke unvan se jo hadis aayi he unki ummat me chalfir kar dawat dena,
Ambiya alayhis salatu vas salam ko is kaam karne se jo ALLAH ki madat aayi he un vakiyaat ki ummat me chalfir kar khub dawat de ve.Sahaba-e-kiram razi aALLAHUta aala anhu ajmaeen ko is kaam kar me jo ALLAH ki madat or nusrat huaee he un vaqiyat ki ummat me chal firkar khub dawat de ve.

2. Mashq - Har haal me hizrat or nusrat vala amal kare
Hijrat me hum apni puri zindagi me himmat karke 1 baar apni mashguli se waqt nikalkar ALLAH k raasten me 4 mahina lagayen,Phir iske baad Har Saal 40 Din ALLAH k raaste me nikale,
Or nusrat me Masjid k 5 aamalon me apne
aapko shaamil karen.Jisme  Rozana Ke teen kaam 1)Apne ghar ki talim or masjid ki talim Masjid.  2) dhhay ghanta masjeed me laga ae.  3) rojana apne masjid ke mashvare me apni jumme dari se bedhna
Hafte ka aek kaam    1) Apni basti ka gast karna or pados ki masjid ka gast karna.
Mahine ka aek kaam. 27 din Dunya ke kaam kaaj ke sath apni jamat bana ke ALLAH ke raste me tin din lagana.

3. Dua - ALLAH se ro rokar duaon k zariye se apne aap ko deen ki mahenat ke liye qabool karvana.

LAYANI SE BACHNA :
Parhez k taur par layani baton aur kamon se bachna yani jisme na dunya ka faayda ho na deen ka fayda ho un baato or kaamo se bache q ke layani nekiyo ko kha ja ti he.

ALLAH HUM SABKO APNE DEEN KI MEHNAT K LIYE ISTEQAMAT K SAATH MAUT TAK K LIYE
QABOOL FARMAYE.......AMEEEN