Test

faynal

...6 SIFFAT...

ALLAH ke raste me nikal kar 6 sifati bato par amli mashq kareyi jaati he jisse deen par chalna asaan ho jatahe.. Ve 6 Sifaat ye he:

1. IMAAN
2. NAMAZ
3. ILM aur ZIQR
4. IKRAM-E-MUSLIM
5. IKHLAS-E-NIYAT
6. DAWAT O TABLIG
PARHEZ KE TAUR PAR LAYANI BAATON SE BACHNA.

PAHELI SIFAT HE IMAAN
Imaan ka bol he
Laa'eelaa'h il-lal laahu muham m'dur r'sulul laah
Tarzuma -Nahi he koee mabood siwaye ALLAH ke aur Hazrat Muhammad sallal laahu alayhi wasallam ALLAH ke rasul he.

IMAAN se yeh chaha ja raha he ki ALLAH ki zaat se bara-e-rast nafa utha ne ke liye ALLAH ke hukmo ko nabi-e karim (S.A.W.) ke tariko par pura karne me dono jaha ki kamyabi he iska yakin karna.

Imaan ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat he :dawat,mashq,duaa.


Daawat - ALLAH ki zaat se bara-e-rast nafa utha ne ke liye ALLAH ke hukmo ko nabi-e-karim (S.A.W.) ke tariko par pura karne me dono jaha ki kamyabi he iski ummat me chal fir kar khub dawat dena.

Mashq - Jab bhi imaan ke halko me imaan ki baat ko kahe ya sune to apni zuban or dil se ye kahe ki ye baat sach he or haq he.

Duaa - Imaan ki haqiqat ko ALLAH se ro rokar duaao ke zariye se ALLAH se khub mange....ki ae ALLAH hame Imaan ki haqiqat ata farma.

DUSRI SIFAT HE NAMAZ
NAMAZ se ye chaha ja raha he ki ALLAH ki kudrat se bara-e-raast nafa utha ne ke liye namaz hamari yakini sabab ban ja'ae.

Namaz ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat he :dawat,mashq,duaa.


Daawat - Apni namaz yakini bana ne ki niyat se qamil Namaz ki ummat me chal fir kar khub dawat dena.

Mashq - Namaz me aek zahir he aur aek batin.
Zahiri mashq me ye he ki
*Apni kamaee ko halal banana.
*Halaal giza khana.
*Halaal libaz pahenna.
*Kamil wuzu karna.
*Namaz ke tamam maslo ko ulma-e-kiraam se sikh kar adaa karna.
*Apne jism ke har uzv ko ALLAH ki raza vale kamo me laga na or ALLAH ki narazgi vale kamo se bacha na. 

Batin me do darje he.
Sab se aalla darja ye he ki namaz ki haal me hamari ye kefiyat banjaae ki me ALLAH ko dekh raha hu.Or dusra darja ye he ki namaz ki haal me hamari ye kefiyat banjaae ki ALLAH muje dekh rahe he.
...In do darjo tak pahuchne ke liye jab bhi namaz ke kisi arkaan me vasvasa aave to apne dil me ye khyal peda kare ki mera ALLAH muje dekh raha he. Is ke sath sath apne ruku, sujud or kirat ko achhi tarah ada kare.

Duaa - Namaz ki haqiqat ko ALLAH se ro rokar duaao ke zariye khub mange.. ki ae ALLAH tu hame bhi maqbool namaz ki taufiq ata farma.

TISRI SIFAT HE ILM AUR ZIQR :
Ilm se yeh chaha jaa raha he ki Huzur (s.a.w) ALLAH ke yaha se jo ilm leke aa ae he us ilm me dono jaha ki kaamyabi he iska yakin karna.

Ilm ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 line ki mehnat he. :dawat,mashq,duaa.


Daawat - Huzur (s.a.w) ALLAH ke yaha se jo ilm leke aa ae he us ilm me dono jaha ki kaamyabi he iske yakin ki ummat me chal fir kar khub dawat de take us ilm ka yakin hamare dil me peda ho jave or ummat me us lim ko lene ka jazba peda ho.

Mashq - Ilm do tarah ka hota he ; Fazail wala ilm, Masael wala ilm 
Fazael wale ilm ke halko me beth kar ilm ke fazail ka yakin peda kare. 
Masael vale ilm ko motabar ulma se sikhe.

Duaa - ALLAH se ro rokar dua'ao ke zariye ALLAH se ilm ki hakikat ko khub mange....ki ae ALLAH tu hame ilm nafe ata farma.

ZIQR :
Ziqr se yeh chaha ja raha he ki ALLAH ke awamir ko huzur (s.a.w.) ke tariko par pura karne me allah ka thyan peda ho ja'ae.

Ziqr ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat he. :dawat,mashq,duaa.

Daawat - ALLAH ke awamir ko huzur (s.a.w.) ke tariko par pura karne me allah ka thyan peda ho ja'ae uski ummat me chal fir kar khub dawat de ve.

Mashq - Teen tasbihaat ko baa vuzu kibla rukh hokar mane mafoom ko samaj te huae thyan laga kar padhi ja'ae. Or masnoon duaao ko mane mafoom ko samj te hue or ALLAH ke vado ke yakin ke sath padhi ja'ae.

Duaa - Ziqr ki haqiqat ko ALLAH se ro rokar dua'ao ke zariye se khub mange. ki ae ALLAH tu hame apne ziqr ki taufiq ata farma.

CHOTHI SIFAT HE IQRAME MUSLIM :
Iqrame muslim se ye chaha ja raha he ki ALLAH ke bando se mutaleek ALLAH ke awameer ho huzur (s.a.w.) ke tariko par musalmano ki noyyat ka lihaz karna. Or Gair-musalmano se achhe akhlaq se peas aana.

Iqrame muslim ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat he :dawat,mashq,duaa.


Daawat - Sahaba-e-kiraam razi allahu ta aala anhu ke akhlaq ki ummat me chal fir kar khub daawat dena.

Mashq - ALLAH ke raste me nikal kar khidmat ke jarye apne andar akhalaq lane ki mashq kare.

Duaa. Iqrame muslim ki haqiqat ko ALLAH se ro ro kar duaao ke zariye se khub mange.

PACHVI SIFAT HE IKHLAS-E-NIYAT :
Ikhlas-e-niyat se yeh chaha ja raha he ki ALLAH ke awamir ko huzur (s.a.w.) ke tariko par pura karne me khalis ALLAH ko razi karne ka jazba peda ho ja'ae.

Ikhlas-e-niyat ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat he. :dawat,mashq,duaa.


Daawat - ALLAH ke awamir ko huzur (s.a.w.) ke tariko par pura karne me khalis ALLAH ko razi karne ka jazba peda ho ja'ae us baat ki ummat me chalfir kar khub dawat deve.

Mashq - Har nek amal se pahele niyat ko durust kar leve(ALLAH ke liye karne ki niyat kare).amal ke darmiyan niyat to tatol leve or aakhir me astak far nadamat kare.

Duaa - ALLAH se ro rokar duaa'o ke zariye se ikhlas ko mange....ki ae ALLAH tu hame har nek amal khalis teri raza ke liye ikhlas ke saath karne ki taufiq ata farma.

CHHATTI SIFAT HE 
DAWAT-O-TABLEEG:
Dowat o tablig vale is kaam ko ham apna kaam samajte huae aalami takazo par apna jaan or maal laga ae.

Dawat o tablig ki hakikat ko apni jindagi me lane ke liye 3 Line ki mehnat he :dawat,mashq,duaa.


Daawat - Quraan me dawat ke mutalik jo aayate aayi he un aayato ki ummat me chal fir kar khub dawat deve. hadiso me jo dawat ke unvan se jo hadise aayi he unki ummat me chal fir kar khub dawat deve, Ambiya alayhis salatu vas salam ko is kaam karne se jo ALLAH ki madat aayi he un vakiyaat ki ummat me chalfir kar khub dawat deve. Sahaba-e-kiram 'razi Allahu ta aala anhu' ajmaeen ko is kaam kar me jo ALLAH ki madat or nusrat huaee he un vaqiyat ki ummat me chal firkar khub dawat deve.

Mashq - Har haal me hizrat or nusrat vala amal kare.
Hijrat me hum apni puri zindagi me himmat karke 1 baar apni mashguli se waqt nikalkar ALLAH ke raaste me char mahina lagaye, phir iske baad har saal 40 din ALLAH ke raaste me nikale.

Or nusrat me masjid ke 5 aamalo ke andar apne aap ko shaamil karen. Jisme rozana ke teen kaam 
1)Apne ghar ki talim or masjid ki talim.
2) Masjeed me 2.30 ghanta laga ae.
3) Rojana apne masjid ke mashvare me apni jumme dari se bedhna

Hafte ka aek kaam.....
1) Apni basti ka gast karna or pados ki masjid ka gast karna.

Mahine ka aek kaam.....
27 din dunya ke kaam kaaj ke sath apni jamat bana ke ALLAH ke raste me teen din lagana.

Duaa - ALLAH se ro rokar duaao ke zariye se apne aap ko deen ki mahenat ke liye qabool karvana.

LAYANI SE BACHNA :
Parhez ke taur par layani baton aur kamon se bachna yani jis baat me na dunya ka faayda ho na deen ka fayda ho un baato or kaamo se bache q ke layani baate nekiyo ko kha jati he.

Har sifaato par amal karne ki niyat se mu zabani yaad kare aur har sifaat ki paach paach hadise yaad kare.


ALLAH HAM SABKO APNE DEEN KI MEHNAT KE LIYE ISTEQAMAT KE SAATH MAUT TAK KE LIYE QABOOL FARMAYE. .......AAMEEN.