ALLAH KE RASTE ME KARNE VALE OR NA KARNE WALE KAAM
Allah ke raaste me char cheeze khub kare.
1) Dawat-e-illallah.
2) Ta’alim o Ta’allum.
3) Zikr o Azkar.
4) Khidmat.
Khidmat char tarah se karna.
1. Apni khidmat.
2. Sathiyon ki khidmat.
3. Amir ki khidmat.
4. Basti walo ki khidmat.
Da’awat Char tarah se dena.
1. Da’awat-e- Ijtemaee.
2. Da’awat-e-Umumi.
3. Da’awat e-Infiradi.
4. Da’awat-e-Khususi.
Char chizon ko bilkul na kare.
1. Dil ka sawal.
2. Zuban ka sawal.
3. Fuzul kharchi.
4. Saathiyo ki cheez ko bager ijazat ke lena.
Char chizo me kam se kam waqt lagana.
1. Khane pine me.
2. Paishab pakhana me.
3. Sone me.
4. Apni zarurat ki chizo me.
Char chizo ko mazbuti se kare.
1. Amir ki tabedari.
2. Masjid ki chahar diwari.
3. Ankhon ki pardadari.
4. Rat ki aanhozari.
Ijtemaaee Amal (8) He.
1. Safar karna.
2. Mashwara karna.
3. Ta’alim karna.
4. Jama’at karna.
5. Umumi bayan karna.
6. Umumi gasht karna.
7. Khana.
8. Sona.
Gasht 5 Tarah Kare.
1. Khususi gasht.
2. Umumi gasht.
3. Tashkili gasht.
4. Ta’alimi gasht.
5. Wusuli gasht.
Infiradi Aamaal ↓
1. Da’awat.
2. Du’aa.
3. Nawafil , Tahajjud, Ishraq , Chasht , aur Awwabil ka padhna.
4. Takbir e Awla or Saf e Awla ki pabandi karna.
5. Subah sham ki tasbihat ki pabandi karna.
6. Qura’an paak ki tilawat karna (Hafiz ke liye teen paaraa or naazra wale ke liye aek paaraa.
7. Kitab ka mutala’a karna, Rozana naya sabaq yad karna.
8. Muhasaba karna.
Char chizo ko karne se aadmi ko tablig samajme aati he.
1. Mashwara se jaha bheja jave waha chala jave.
2. Jis tabqa ke saath joda jave us ke saath jud jave.
3. Jo khana mile khale.
4. Amir ki ita’at karna.
Do chise jamat me hamesha yaad rakhe.
1. Sathi ki aapas me group bandhi na kare.(Chahe sone me ho ya khane me) Sabke sath beth kar kha'ae or sabke baju me so'ae.
2.Sathi aapas me be takallufi vali bate na kare.